Ghana tha andhera, raah ni aa rahi thi nazar,
Ek nanha jugnu ban gaya saathi aur aasan ho gayi dagar ||
Tez hui aandhi, dhundhli hui nazar,
Barkha ne aankhon ko tohfa diya kuch boondo ka maano khuda ne kiya ho koi anmol asar ||
Shaam thi akeli, qalb bhi hua bekhabar,
Shajar par baaz sikha gaya k khud ka maullah ban, tu khud hi to hei apna sachha humsafar ||
Raat ne chooma sannate ko khyaal hote gaye bezaar,
Kya ye andhera kabhi pighlega khushi ki chaah ki tapish par?
Achanak kasak si uthi ek aawaz aayi,
Mere daro ka samadhan meri aatma mujhe sunai,
Andhera daraega par roshni ka mool sikha k jaega,
Aandhi sataegi, par mushkilo ka saamna karna bhi sikhaegi,
Ye Bezaar khyal aur akeli raatein hamesha yu hi nahi rahegi,
Yaad rakhna aae dost ki andhera jaise hi tootega ek nayi subah fir se khil uthegi||
No comments:
Post a Comment