Thursday, May 24, 2012

TEACHINGS FROM DAD AND BOUNCERS FROM SON

Father- "Beta"...
Son-...........

Father- "Betaaa"...
Son-"Bolo"..

Father-"Ab jo baatein bol raha hu vo dhyaan se sunna"...
Son- "O Papa,kitni baatein....ab nahi raha mai Nanna Munna...

Father- "Bahar bhej raha hu bahut mehnat se padhna"...
Son- "Padhne se bhuk bahut lagti hai,fir saare hotel k bill aap hi bharna"...

Father- "Behisab paise jisne kharche uska samjho diwala pit gaya"...
Son- "Aur hisab se jisne kharche usko kitna vapis mil gaya"...??

Father- "Beta safayi se ni rahe to sab p impression ganda padega"...
Son- " Safai maio saara time laga diya to padhai ka dhyan mera padosi rakhega"...??

Father- "Beta,sabse imp baat,bina soche samjhe committed hue to samjho jeevan bigaad liya"
Son- "Achhaa,aur soch samajh ke single rahe to bhi kya ukhaad liya"..???

Father- "Duniya bahut chalaak hai, dosti dekh parakh k karna"...
Son-  "Achhaa,sochlo,fir kabhi mere ko dostibaaji mai padne ka lecture mat pilana"...

Father- "Mera farz tha tumhe samjhana,aage tumhari marzi"...
Son- "Chinta koi ni Papa...mere ko mil gaya uska number jo degree banata hai farzi"...

Father- "GUSTAAQ......tu mere ghar mai jaali degree laaega"....
Son-  "O ni Papa,,mai to bas ye keh raha hu ki kamyab wahi hai jo smart work dikhaegaa".....


No comments:

Post a Comment